Google Adsense se website ko approve karaye | Earn money from Adsense


Adsense se website ko kaise approve karaye 3-technosmarter

Yadi AAP Adsense se apni website approve karana chahte hain to aapko ye post complete bade dhiyan sepadhni chaiye isme main btaunga ki aapko kaise apne blog ko manage karke adsense se approve kara sakte ho.

Earn money from Google adsense HINDI

App ye to jante hi honge ki adsense google ka ek program hain jo aapki website ko monetize karta hain .Main aapko batana chaunga ki meri website bhi adsense ne approve kar li hain vo bhi pahli baar submit karne main hi . Chaliye baat karte hain ki adsense se approve kranne ke liye aapko apni web blog kaise maintain karna hai .

Sabse pahle baat karte hai ki website main kya kya hone chaiye .

I- Home page

– Sabse pahle aap apni website main home page banaiye chahe aap HTML main bana rahe ho ya wordpress par Home page hona jaruri hain .

II- About Page

– Home page ke baad aap apni website main ek page about ke name se bhi banaye .is about page main aapko apni web blog ka mission ,apni web blog ka purpose ,or apne bare main bhi likhiye sath hi apni ek image bhi daal dijiye .
About page totally aapki website se related content ke bare main hi hona chaiye .Yadi aap chahte ho ki main ek technology ka blog banana chahata hu to aap technology se related content hi about page main dale ya fir aap chahte ho ki aap health tips par ek blog likhna chahte hain to aap health se related about page main content likh sakte hain .
About page aap is prakar daal sakte hain or ha yaad rahe kabhi bhi kisi ka content copy na kare .aap apne aap se hi content banaye chahe aap hindi main likh rahe ho ya English main . About page dekhne ke liye yahan click kare .

III-Contact page

– yadi aapko google adsense se apni website ko approve karana hain to aap ek contact ka page bhi banana chaiye .Google adsense aapki website ka review karta hain isliye aapko ek contact ka page bhi bana lena hain . Contact page dekhne ke liye yaha par click kare .

IV -Terms&Policy page

–Ye sayad aapko pata bhi nhi hoga ki terms and policy kaise likhte hain kyuki ye bahut difficult padta hain par agar aapko google se approve karana hain to aapko terms & policy ka page bhi bana lena hain .
Terms and policy ke page main aapka apne blog ki kuch terms and conditions likhni hain jaise main is blog main general purpose ke liye information likh raha hu .Terms & policy mostly dekh kar apne language main likhte hain .
Terms and policy sample page .Click here

Ab aapka header ready hain .

Adsense se website ko kaise approve karaye 3-technosmarter

Ab baat karte hain footer ki.

Footer main aap just information ke liye small si information daal dijiye .

Adsense se website ko kaise approve karaye 3-technosmarter

Kitni post likhne par google adsense ke liye apply kare ?

Ye question aaj kal bahut chal raha hain maine bhi bahut padha hua iske bare main par main aapko bataunga ki maine kitni post likhne par google adsense approve kara liya tha .
Google adsense approve krane ke liye maine 12 post hi likhi thi sirf 12 post likhne par hi main ek baar main hi google adsense se apni web blog ko approve kara liya tha .
Jab main new tha is blogging world main to maine bhi bahut saari videos or articles padhe koi kahta ki aap 40 posts likhe to aapki website google approve karega to koi kahta ki sirf 7 post likhne par hi aap apna blog google se approve kara sakte hain .par maine apne man ki suni or 12 post ke baad google adsense ke liye apply kiya or google adsense ne just 3 din main hi meri website ko approve kar diya .

Yadi aap bhi apni website ko approve karana chahte ho to aap jaise-jaise main bolta hu follow karte jaye aap 100 % google se apni website ko approve kara payenge vo bhi kewal 12 post main hi .

Ek post kitne word ka or kaise likhna chaiye ?

Post main content likhna bahut badi baat hain or content ko manage karna us se bhi bada kaam hain .google adsense ko koi problem nahi chahe aap kisi bhi language main likhe par aap dhiyan rahe kabhi bhi copy paste na kare kyuki google ko pata hota hai ki aapne ye text kahan se copy kiya hain So yadi aap blogging main new ho to aapko pata nahi hoga isliye aapko bata dena chahta hu ki kisi dusri website se copy karke apne website main paste karne se aap kabhi bhi adsense ko approve nahi kara payenge yadi aap aisa karte ho to google aapki website ko disapprove kar sakta hain .
Isliye dhiyan rahe aap khud ka fresh content likhe .

Ek post main kitne words ka content likhna chaiye ?

Yadi aap beginner ho to or aap approve chahte ho to aap 2000 words ka ek post likhe .
Maine bhi khud 2000 words ke content likhe hue hain is se bahut bada iffect padta hain . Yahan par click karke aap dekh sakte hain .

Content ko kaise manage kare –

 

Description –

sabse pahle post aap kis related likhna chahte ho us post main aap kya kya clear karne ja rahe ho jo bhi aap us post main likhne wale ho us se related ek description likhe .

Sequence-

Yadi aap kisi technology ke liye ya other kisi chij ke liye bhi blog likhna chahte ho to aapko apne sequence ke according hi process likhna chaiye or saath hi ek image bhi dalna chaiye .

Step1-

step one ka process .


Image for step 1

Step2-

step two ka process


Image for step 2

Step n-

step N ka process.


Image for step 2.

Aise hi karte karte aap apne post ke starting se lekar last tak ka process likhte jaye .

Writing reference ke liye yahan par click kare –
Hindi post        English post
Is tarah se aap apni website ko aasani se approve kara sakte hain .
Note 1 – "Yadi aap google adsense se apni website approve karana chahte hain to aap kisi or website ke ads apni website par na lagaye ."

Note 2- "Copy pase kabhi bhi use na kare"

Note 3- "Adsense approve ho jane ke baad apni website ke ads ko khud hi bar bar click karke open na kare google aapke ads block kar sakta hain"

Submit website Sitemap

index website in Google


Please Share

Recommended Posts:-