KBC FRAUD CALL | 25 Lakhs Lottery
Aaaj main ek personal fraud share karna chaunha jo ki mere sath hote hue bach gya mere paise loss hone se bach gye . Mujhe KBC ( Kaun banega Crorepati ) ki side se ek fraud wahtspp call aya tha jimse btaya gya ki aapko KBC ki traf se 25 lakhs ki lottery lagi hain . Jab maine unse pucha ki sir ye lottary kyu lagi hain t unhone jwab diya ki KBC ne sabhi company ke jaise IDEA , AIRTEL , JIO , VODAFONE ka lucky draw nikala tha jisme aapki lottray lagi hain . main bahut khus ho gya ki meri lottray lag gyi . uske baad unhone mujhe ek photo send ki jisme mera lottry number tha 5511 .
or ek whatsapp number the 009923015584552 tha ye number pakistan ka hain mujhe baad main pata chala . maine lottery ke chkker main dhiyan nahi diya . us aadmi ne mujhe kahan ki aapko pic main ek whatsapp number milega (whatsapp number 009923015584552) jispe aapko Rana Pratap Singh se baat krni padegi . unke pass hi humne aapka check bhej diya hain . uske baad maine ye number 009923015584552 save kar liya wahtsapp pr or unko call ki . call krne ke baad unhone mujhe lottary number pucha jo kimera KBC main main nikla tha maine unko btaya ki mera lottery number 5511 hain tab unhone mujhe 5 minuts wai krne ke bola . uske baad unhone 5 mint main call . 5 minuts ke baad unhone bola ki ji beta aapka lottray lagi KBC ki side se aapko 25lakh ki lottery lagi hain .
aap mumbai aana chaoge ya paise apne aacount main tranfer krana chaohe . maine kahan ki aap mere bank main transfer kara dijiye .unhone mera bank aacount le liye . uske baad unhone fir mujhe 5 mint roka . 5 minuts ke baad KBC walo ne kahan ki aapka jo paisa aapke naam par register nhi h aapko .aapko apne naam per register krane ke liye 16500 dene padegnge vo kuch bhi bol sakte hain . uske baad maine pucha ki kaise register aap meri lottery se kaato na unhone kahan aap registrt kra lijiye tabhi to aapke naam honge fir aapko 25 lakh rupees mil jayenge . thik maine kahan kaise krana hain unhone pucha inem se aapke pass konsa bank hain SBI (State bank of india ) , Punjab National Bank ( PNB) , Bank of broda ,ICICICI BANK , maine bola ki ki aap State bank ka de dijye uske baad unhone muje ye account number or name dya -
SBI
SUNIL DAS
AC.. 20355108412
IFSC.. SBIN0006042
SBI ka ye bank aacount n umber hain jime mujhe 16500 rupees dalane ko KBC fraud call walo ne bola . Iske baad main bank m gya or maine ek bank m kuch logo se baat ki ki aise aise paise dalane ko bola jara hain unhone bola ki ye KBC ki fraud call hain jo ki Amitabh Bacchan ka name leke KBC ko badnaam ka rahe inse bachke rahna . fir maine unko bola ki sir vo bank m jyada bheed hain aap Punjab nationl bank ka number de dijiye . Unhone mujhse bola ki aap bank ke samne ke ek photo humhe dijiye maine bade sahb se baat krke bta denge ki banda acche se apna kaam kar raha hain fir bhi maine internet se bank ki photo utha ke unhe send kardi . Tab unhone mujhe ek Punjab nationa bank ka number diya .
PNB
KESHAB PRADHAN
AC.. 9912000100012748
IFSC.. PUNB0991200 Br kolkta
KBC fraud call walo ne mujhe ye pnb bank ka number diya . uske baad maine unko bola ki aap apna number dijye form main dalna hain . to unhone bola ki aap apna number daal dijiye .
maine bola sir aapka number dalna hota hain jo is account se registered hain . unhone bola ki beta aap apna daal dijiye kuch nhi hoga fir bhi unhone number nhi diya uske baad maine unko bol diya ki main aapko 5 mint bank slip deta hu .
uske baad maine unko sunana suru kar diya ki aise fraud kyu krte poor logo ke paise marte srm nahi aati . bahut sunaya unko uske baad unhone ek audio bheji thi jisme gaaliya thi vo main yahan likh nhi sakta par usme tha ki hum to tum jaiso ki hi g* ...rahe bhad* .... bahut galiya thi uske baad maine vo suni maine fir unko sunaya unhone vo auido delete kar di ekdam se or mujhe block kar diya .
Mere to paise bach gye par na jaane kitno ke paise loss ho gye Is KBC fraud call main .main bus itna chahta hu ki aise koi lottery nhi hoti mahanat se kamao or khao or in sabhi fraud caller se bachke raho .
Chahe vo bank ki fraud call ho chahe paytm ki traf se ki gyi fraud call ho , Amazon ka name leke fraud call ho ya fir Flipkart ka name leke thoda savdhaan rahe.